diida e sang men biinaaii kahaan se aae

Muzaffar Warsi

Deeda-e-sang men beenaa.ee kahaan se aa.e Zarf murda ho to sachchaa.ee kahaan se aa.e Pyaar ta.ameer ho jab bughz kee buniyaadon par Miltee nazron men shanaasaa.ee kahaan se aa.e Gum hain rangon men khad-o-khaal bhee tasveeron ke Pas-e-parda kaa tamaashaa.ee kahaan se aa.e Meree har soch ke raste men khaDaa hai koi Aa.eena-khaane men tanhaa.ee kahaan se aa.e Meree aavaaz khamoshee ne mujhe lauTaa dee Mujh men ab jur.at-e-goyaa.ee kahaan se aa.e Koi bhee dekhnaa chaahe na kisee ko zinda Khuun ke pyaason men maseehaa.ee kahaan se aa.e Is qadar shauq dar-aamad hai 'muzaffar' ham ko Sochte rahte hain rusvaa.ee kahaan se aa.e