gahraaiyon men zehn kii girdaab saa rahaa

Muzaffar Warsi

Gahraa.iyon men zehn kee girdaab saa rahaa Saahil pe bhee khaDaa huaa gharqaab saa rahaa Be-naam see ik aag jalaatee rahee mujhe Khuun ke bajaa.e jism men tezaab saa rahaa Khaalee vajood hee liye phirtaa rahaa magar Kaandhon pe umr bhar mire asbaab saa rahaa Naghme bikhertaa rahaa ehsaas-e-talkh bhee Khaama bhee mere haath men mizraab saa rahaa Ashkon men us ke husn kee lau tairtee rahee Paanee ke aasmaan pe mahtaab saa rahaa Kaam aa.ee shaa.iree bhee 'muzaffar' ke kis qadar Tanhaa.ee men bhee majma-e-ahbaab saa rahaa