haath aankhon pe rakh lene se khatra nahiin jaataa
— Muzaffar Warsi
Haath aankhon pe rakh lene se khatra nahin jaataa
Deevaar se bhaunchaal ko rokaa nahin jaataa
Da.avon kee taraazoo men to azmat nahin tultee
Fiite se to kirdaar ko naapaa nahin jaataa
Farmaan se peDon pe kabhi phal nahin lagte
Talvaar se mausam koi badlaa nahin jaataa
Chor apne gharon men to nahin naqb lagaate
Apnee hee kamaa.ee ko to luuTaa nahin jaataa
Auron ke khayaalaat kee lete hain talaashee
Aur apne garebaan men jhaankaa nahin jaataa
Faulaad se faulaad to kaT saktaa hai lekin
Qaanoon se qaanoon ko badlaa nahin jaataa
Zulmat ko ghaTaa kahne se baarish nahin hotee
Sho.alon ko havaaon se to Dhaanpaa nahin jaataa
Toofaan men ho naav to kuchh sabr bhee aa jaa.e
Saahil pe khaDe ho ke to Duubaa nahin jaataa
Dariyaa ke kinaare to pahunch jaate hain pyaase
Pyaason ke gharon tak koi dariyaa nahin jaataa
Allaah jise chaahe use miltee hai 'muzaffar'
Izzat ko dukaanon se khareedaa nahin jaataa