ham karen baat daliilon se to radd hotii hai

Muzaffar Warsi

Ham karen baat daleelon se to rad hotee hai Us ke honTon kee khamoshee bhee sanad hotee hai Saans lete hue insaan bhee hain laashon kee tarah Ab dhaDakte hue dil kee bhee lahad hotee hai Jis kee gardan men hai phandaa vahee insaan baDaa Sooliyon se yahaan paimaa.ish-e-qad hotee hai Sho.abda-gar bhee pahante hain khateebon kaa libaas Boltaa jahl hai bad-naam khirad hotee hai Kuchh na kahne se bhee chhin jaataa hai ejaaz-e-sukhan Zulm sahne se bhee zaalim kee madad hotee hai