jab apnaa qaafila azm o yaqiin se niklegaa
— Muzaffar Warsi
Jab apnaa qaafila 'azm-o-yaqeen se niklegaa
Jahaan se chaahenge rasta vaheen se niklegaa
Libaas-e-ghair na hogaa badan pe jab apne
To koi saanp na phir aasteen se niklegaa
Jo aasmaanon men baanTegaa raushnee apnee
Wo aaftaab isee sarzameen se niklegaa
Vatan kee ret zaraa eDiyaan ragaDne de
Mujhe yaqeen hai ki paanee yaheen se niklegaa
Muqaabla to 'muzaffar' karoon andheron se
Charaagh ban ke paseena jabeen se niklegaa