jhuum le hans bol le pyaarii agar hai zindagii
— Muzaffar Warsi
Jhuum le hans-bol le pyaaree agar hai zindagee
Saans ke bas ek jhonke kaa safar hai zindagee
Der hee bante bigaDte kuchh ise lagtee nahin
Phuul kee deevaar par shabnam kaa ghar hai zindagee
Zindagee men jo bhee karnaa chaahtaa hai kar guzar
Kya khabar barson kee hai yaa lamha-bhar hai zindagee
Ajnabee haalaat se bhee hans ke milnaa chaahiye
Har qadam par muDne vaalee rahguzar hai zindagee
Bhejtaa rahtaa huun jaane apnee saansen kis ke naam
Yaar-e-naa-ma.aloom kee ik naama-bar hai zindagee
Dasht men niklo to kaanTaa hai thakan hai gard hai
Naav men baiTho to lagtaa hai bhanvar hai zindagee
Taa-abad is se na TooTegaa 'muzaffar' raabta
Maut se aage adam ke naam par hai zindagee