kab nishaan meraa kisii ko shab e hasti men milaa
— Muzaffar Warsi
Kab nishaan meraa kisee ko shab-e-hastee men milaa
Main to jugnoo kee tarah apnee hee muTThee men milaa
Bhaag niklaa thaa jo toofaan se chhuDaa kar daaman
Sar-e-saahil vahee Duubaa huaa kashtee men milaa
Aankh raushan ho to duniyaa ke andhere kya hain
Rasta mahtaab ko raaton kee siyaahee men milaa
Main jalaataa rahaa tere liye lamhon ke charaagh
Too guzartaa huaa sadiyon kee savaaree men milaa
Too ne mangton ko uchaTtee huee nazren bhee na diin
Haath phailaayaa na jis ne use jholee men milaa
Main ik aansoo hee sahee huun bahut anmol magar
Yuun na palkon se giraa kar mujhe miTTee men milaa
Mahfilon men kiyaa logon ne 'muzaffar' kee talaash
Wo bhaTaktaa huaa afkaar kee vaadee men milaa