liyaa jo us kii nigaahon ne jaaeza meraa
— Muzaffar Warsi
Liyaa jo us kee nigaahon ne jaa.eza meraa
To TuuT TuuT gaya khud se raabta meraa
Samaa.aton men ye kaisee miThaas ghultee rahee
Tamaam umr rahaa talkh zaa.iqa meraa
ChaTakh gaya huun main apne hee haath se gir kar
Mire hee aks ne toDaa hai aa.ina meraa
Kiyaa gaya thaa kabhi mujh ko sangsaar jahaan
Vaheen lagaayaa gaya hai mujassama meraa
Jabhee to umr se apnee ziyaada lagtaa huun
BaDaa hai mujh se ka.ee saal tajraba meraa
Adaavaton ne mujhe e'timaad bakhshaa hai
Mohabbaton ne to kaaTaa hai raasta meraa
Main apne ghar men huun ghar se ga.e huon kee tarah
Mire hee saamne hotaa hai tazkira meraa
Main luT gaya huun 'muzaffar' hayaat ke haathon
Sunegee kis kee adaalat muqaddama meraa