main hare mausamon men jaltaa rahaa

Muzaffar Warsi

Main hare mausamon men jaltaa rahaa Khushbuon se dhuaan nikaltaa rahaa Aag par honT rakh diye the kabhi Aakhiree saans tak pighaltaa rahaa Main akelaa bhee kaarvaan kee tarah Raaston ke baghair chaltaa rahaa Haadse mujh ko pesh aate rahe Aur zamaane kaa jee bahaltaa rahaa Meree aavaaz munharif na huee Vaqt kaa faisla badaltaa rahaa Zindagee mujh ko qatl kartee rahee Maut kee vaadiyon men paltaa rahaa Kaarobaar-e-sukhan kiyaa main ne Yaa 'muzaffar' lahoo ugaltaa rahaa