merii judaaiyon se wo mil kar nahiin gaya
— Muzaffar Warsi
Meree judaa.iyon se wo mil kar nahin gaya
Us ke baghair main bhee koi mar nahin gaya
Duniyaa men ghuum phir ke bhee aise lagaa mujhe
Jaise main apnee zaat se baahar nahin gaya
Kya khuub hain hamaaree taraqqee-pasandiyaan
Ziine banaa liye koi uupar nahin gaya
Jughraafi.e ne kaaT diye raaste mire
Taareekh ko gila hai ki main ghar nahin gaya
Aisee koi ajiib imaarat thee zindagee
Baahar se jhaanktaa rahaa andar nahin gaya
Daalaa na doston ko kabhi imtihaan men
Sahraa men mere saath samundar nahin gaya
Us vaqt tak sulagtee rahee us kee aarzoo
Jab tak dhuen se sara badan bhar nahin gaya
Zillat ke bhaav bik ga.iin izzat-ma.aabiyaan
Dastaar us kee jaatee rahee sar nahin gaya
Khwaish havas ke ruup men achchhee nahin lagee
Duniyaa ko fat.h kar ke sikandar nahin gaya
Kaandhon pe apne log use le ga.e kahaan
Pairon se apne chal ke 'muzaffar' nahin gaya