saayaa koii main apne hii paikar se nikaaluun
— Muzaffar Warsi
Saayaa koi main apne hee paikar se nikaaloon
Tanhaa.ee bataa kaise tujhe ghar se nikaaloon
Ik mauj bhee mil jaa.e agar mujh ko sile men
Girte hue dariyaa ko samundar se nikaaloon
Teshe se bajaataa phiroon main barbat-e-kohsaar
Naghme jo mire dil men hain patthar se nikaaloon
Lau tez nahin kuchh miree aankhon hee kee shaayad
Matlab yahee be-nooree-e-manzar se nikaaloon
Badle na koi rang tiraa husn-e-khamoshee
Main baat ke pahloo tire tevar se nikaaloon
Tauba ne jagaayaa mire andar kaa sharaabee
Ab faal bhee TuuTe hue saaghar se nikaaloon
Sochon ke bayaabaan men liye phirtaa hai mujh ko
Kya zehn bhee sauda hai jise sar se nikaaloon
Ik nasl-e-sukhan mujh men hai aabaad 'muzaffar'
Soorat na.ee har lafz ke andar se nikaaloon