aaj to be sabab udaas hai ji
— Nasir Kazmi
Aaj to be-sabab udaas hai jee
Ishq hota to koee baat bhee thee
Jaltaa phirtaa hoon main dopahron men
Jaane kya chiiz kho ga.ee meree
Vaheen phirtaa hoon main bhee khaak-basar
Is bhare shahr men hai ek galee
Chhuptaa phirtaa hai ishq Dunya se
Phailtee jaa rahee hai rusvaa.ee
Ham-nasheen kya kahoon ki wo kya hai
ChhoD ye baat niind uDne lagee
Aaj to wo bhee Kuch khamosh saa thaa
Main ne bhee us se koee baat na kee
Ek dam us ke honT chuum liye
Ye mujhe baiThe baiThe kya soojhee
Ek dam us kaa haath chhoD diyaa
Jaane kya baat darmiyaan aa.ee
Too jo itnaa udaas hai 'naasir'
Tujhe kya ho gaya bataa to sahee