aaraaish e khayaal bhi ho dil kushaa bhi ho
— Nasir Kazmi
Aaraa.ish-e-khayaal bhee ho dil-kushaa bhee ho
Wo dard ab kahaan jise jee chaahtaa bhee ho
Ye kya ki roz ek saa gham ek see umiid
Is ranj-e-be-khumaar kee ab intihaa bhee ho
Ye kya ki ek taur se guzre tamaam umr
Jee chaahtaa hai ab koi tere sivaa bhee ho
TuuTe kabhi to khvaab-e-shab-o-roz kaa tilism
Itne hujoom men koi chehra nayaa bhee ho
Deevaangee-e-shauq ko ye dhun hai in dinon
Ghar bhee ho aur be-dar-o-deevaar saa bhee ho
Juz dil koi makaan nahin dahr men jahaan
Rahzan kaa khauf bhee na rahe dar khulaa bhee ho
Har zarra ek mahmil-e-ibrat hai dasht kaa
Lekin kise dikhaa.oon koi dekhtaa bhee ho
Har shai pukaartee hai pas-e-parda-e-sukoot
Lekin kise sunaa.oon koi ham-navaa bhee ho
Fursat men sun shaguftagi-e-ghunche kee sadaa
Ye wo sukhan nahin jo kisee ne kahaa bhee ho
BaiThaa hai ek shakhs mire paas der se
Koi bhalaa saa ho to hamen dekhtaa bhee ho
Bazm-e-sukhan bhee ho sukhan-e-garm ke liye
Taa.oos boltaa ho to jangal haraa bhee ho