apnii dhun men rahtaa hoon
— Nasir Kazmi
Apnee dhun men rahtaa hoon
Main bhee tere jaisaa hoon
O pichhlee rut ke saathee
Ab ke baras main tanhaa hoon
Teree galee men sara din
Dukh ke kankar chuntaa hoon
Mujh se aankh milaa.e kaun
Main teraa aa.eena hoon
Meraa diyaa jalaa.e kaun
Main tiraa khaalee kamra hoon
Tere sivaa mujhe pahne kaun
Main tire tan kaa kapDaa hoon
Too jeevan kee bharee galee
Main jangal kaa rasta hoon
Aatee rut mujhe ro.egee
Jaatee rut kaa jhonkaa hoon
Apnee lahr hai apna rog
Dariya hoon aur pyaasaa hoon