dard kam hone lagaa aao ki Kuch raat kate
— Nasir Kazmi
Dard kam hone lagaa aao ki Kuch raat kaTe
Gham kee mee'aad baDhaa jaao ki Kuch raat kaTe
Hijr men aah-o-bukaa rasm-e-kuhan hai lekin
Aaj ye rasm hee duhraao ki Kuch raat kaTe
Yuun to tum raushnee-e-qalb-o-nazar ho lekin
Aaj wo mo'jiza dikhlaao ki Kuch raat kaTe
Dil dukhaataa hai wo mil kar bhee magar aaj kee raat
Usee be-dard ko le aao ki Kuch raat kaTe
Dam ghuTaa jaataa hai afsurda-dilee se yaaro
Koee afvaah hee phailaao ki Kuch raat kaTe
Main bhee be-kaar hoon aur tum bhee ho veeraan bahut
Dosto aaj na ghar jaao ki Kuch raat kaTe
ChhoD aa.e ho sar-e-shaam use kyuun 'naasir'
Use phir ghar se bulaa laao ki Kuch raat kaTe