dil men aur to kya rakkhaa hai

Nasir Kazmi

Dil men aur to kya rakkhaa hai Teraa dard chhupaa rakkhaa hai Itne dukhon kee tez havaa men Dil kaa diip jalaa rakkhaa hai Dhoop se chehron ne Dunya men Kya andher machaa rakkhaa hai Is nagree ke Kuch logon ne Dukh kaa naam davaa rakkhaa hai Waada-e-yaar kee baat na chheDo Ye dhokaa bhee khaa rakkhaa hai Bhuul bhee jaao biitee baaten In baaton men kya rakkhaa hai Chup chup kyuun rahte ho 'naasir' Ye kya rog lagaa rakkhaa hai