dil men ik lahr sii uthii hai Abhi
— Nasir Kazmi
Dil men ik lahr see uThee hai abhee
Koi taaza havaa chalee hai abhee
Kuch to naazuk mizaaj hain ham bhee
Aur ye choT bhee na.ee hai abhee
Shor barpaa hai khaana-e-dil men
Koi deevaar see giree hai abhee
Bharee dunya men jee nahin lagtaa
Jaane kis chiiz kee kamee hai abhee
Too shareek-e-sukhan nahin hai to kya
Ham-sukhan teree khaamushee hai abhee
Yaad ke be-nishaan jazeeron se
Teree awaaz aa rahi hai abhee
Shahr kee be-charaagh galiyon men
Zindagee tujh ko DhoonDtee hai abhee
So ga.e log us havelee ke
Ek khiDkee magar khulee hai abhee
Tum to yaaro abhee se uTh baiThe
Shahr men raat jaagtee hai abhee
Waqt achchhaa bhee aa.egaa 'naasir'
Gham na kar zindagee paDee hai abhee