galii galii aabaad thii jin se kahaan gae wo log

Nasir Kazmi

Galee galee aabaad thee jin se kahaan ga.e wo log Dillee ab ke aisee ujDee ghar ghar phailaa sog Saaraa saaraa din galiyon men phirte hain bekaar Raaton uTh uTh kar rote hain is nagree ke log Sahme sahme se baiThe hain raagee aur fankaar Bhor bha.e ab in galiyon men kaun sunaa.e jog Jab tak ham masroof rahe ye Dunya thee sunsaan Din Dhalte hee dhyaan men aa.e kaise kaise log 'naasir' ham ko raat milaa thaa tanhaa aur udaas Vahee puraanee baaten us kee vahee puraanaa rog