galii galii mirii yaad bichhii hai pyaare rasta dekh ke chal

Nasir Kazmi

Galee galee miree yaad bichhee hai pyaare rasta dekh ke chal Mujh se itnee vahshat hai to meree hadon se duur nikal Ek samay tiraa phuul saa naazuk haath thaa mere shaanon par Ek ye vaqt ki main tanhaa aur dukh ke kaanTon kaa jangal Yaad hai ab tak tujh se bichhaDne kee wo andheree shaam mujhe Too khaamosh khaDaa thaa lekin baaten kartaa thaa kaajal Main to ek na.ee Dunya kee dhun men bhaTaktaa phirtaa hoon Meree tujh se kaise nibhegee ek hain tere fikr o amal Meraa munh kya dekh raha hai dekh is kaalee raat ko dekh Main vahee teraa hamraahee hoon saath mire chalnaa ho to chal