Kuch to ehsaas e ziyaan thaa pahle
— Nasir Kazmi
Kuch to ehsaas-e-ziyaan thaa pahle
Dil kaa ye haal kahaan thaa pahle
Ab to jhonke se laraz uThtaa hoon
Nashsha-e-khvaab-e-giraan thaa pahle
Ab to manzil bhee hai khud garm-e-safar
Har qadam sang-e-nishaan thaa pahle
Safar-e-shauq ke farsang na poochh
Vaqt be-qaid makaan thaa pahle
Ye alag baat ki gham raas hai ab
Us men andesha-e-jaan thaa pahle
Yuun na ghabraa.e hue phirte the
Dil ajab kunj-e-amaan thaa pahle
Ab bhee too paas nahin hai lekin
Is qadar duur kahaan thaa pahle
Dere Daale hain bagoolon ne jahaan
Us taraf chashma ravaan thaa pahle
Ab wo Dariya na wo bastee na wo log
Kya khabar kaun kahaan thaa pahle
Har kharaaba ye sadaa detaa hai
Main bhee aabaad makaan thaa pahle
UD ga.e shaakh se ye kah ke tuyoor
Sarv ik shokh javaan thaa pahle
Kya se kya ho ga.ee Dunya pyaare
Too vaheen par hai jahaan thaa pahle
Ham ne aabaad kiyaa mulk-e-sukhan
Kaisaa sunsaan samaan thaa pahle
Ham ne bakhshee hai khamoshee ko zabaan
Dard majboor-e-fughaan thaa pahle
Ham ne eejaad kiyaa tesha-e-ashk
Sho.ala patthar men nihaan thaa pahle
Ham ne raushan kiyaa maamoora-e-gham
Varna har samt dhuaan thaa pahle
Ham ne mahfooz kiyaa husn-e-bahaar
Itr-e-gul sarf-e-khizaan thaa pahle
Gham ne phir dil ko jagaayaa 'naasir'
Khaana-barbaad kahaan thaa pahle