kya zamaana thaa ki ham rose milaa karte the
— Nasir Kazmi
Kya zamaana thaa ki ham roz milaa karte the
Raat-bhar chaand ke hamraah phiraa karte the
Jahaan tanhaa.iyaan sar phoD ke so jaatee hain
In makaanon men ajab log raha karte the
Kar diyaa aaj zamaane ne unhen bhee majboor
Kabhi ye log mire dukh kee davaa karte the
Dekh kar jo hamen chup-chaap guzar jaataa hai
Kabhi us shakhs ko ham pyaar kiyaa karte the
Ittifaaqaat-e-zamaana bhee ajab hain naasir
Aaj wo dekh rahe hain jo sunaa karte the