tire aane kaa dhokaa saa raha hai
— Nasir Kazmi
Tire aane kaa dhokaa saa raha hai
Diyaa saa raat bhar jaltaa raha hai
Ajab hai raat se aankhon kaa aalam
Ye Dariya raat bhar chaDhtaa raha hai
Sunaa hai raat bhar barsaa hai baadal
Magar wo shahr jo pyaasaa raha hai
Wo koi dost thaa achchhe dinon kaa
Jo pichhlee raat se yaad aa raha hai
Kise DhoonDoge in galiyon men 'naasir'
Chalo ab ghar chalen din jaa raha hai