wo is adaa se jo aae to kyuun bhalaa na lage

Nasir Kazmi

Wo is adaa se jo aa.e to kyuun bhalaa na lage Hazaar baar milo phir bhee aashnaa na lage Kabhee wo khaas 'inaayat ki sau gumaan guzre Kabhee wo tarz-e-taghaaful ki mahramaana lage Wo seedhee-saadee adaa.en ki bijliyaan barsen Wo dil-baraana muravvat ki 'aashiqaana lage Dikhaa.oon daagh-e-mohabbat jo naagavaar na ho Sunaa.oon qissa-e-furqat agar buraa na lage Bahut hee saada hai too aur zamaana hai 'ayyaar Khuda kare ki tujhe shahr kee havaa na lage Bujhaa na den ye musalsal udaasiyaan dil ko Wo baat kar ki tabee'at ko taaziyaana lage Jo ghar ujaD ga.e un kaa na ranj kar pyaare Wo chaara kar ki ye gulshan ujaaD saa na lage Itaab-e-ahl-e-jahaan sab bhulaa diye lekin Wo zakhm yaad hain ab tak jo ghaa.ebaana lage Wo rang dil ko diye hain lahoo kee gardish ne Nazar uThaa.oon to Dunya nigaar-khaana lage 'ajeeb khvaab dikhaate hain naa-khuda ham ko Gharaz ye hai ki safeena kinaare jaa na lage Liye hee jaatee hai har-dam koee sadaa 'naasir' Ye aur baat suraagh-e-nishaan-e-paa na lage