aadmii ki talaash Abhi maraa nahin zinda hai aadmii shaayad

Nida Fazli

Abhee maraa nahin zinda hai aadmee shaayad Yaheen kaheen use DhoonDo yaheen kaheen hogaa Badan kee andhee guphaa men chhupaa huaa hogaa BaDhaa ke haath Har ik raushnee ko gul kar do Havaa.en tez hain jhanDe lapeT kar rakh do Jo ho sake to un aankhon pe paTTiyaan kas do Na koi paanv kee aahaT Na saanson kee awaaz Daraa huaa hai wo Kuchh aur bhee na Dar jaa.e Badan kee andhee guphaa se na kuuch kar jaa.e Yaheen kaheen use DhoonDo Vo aaj sadiyon baad Udaas udaas hai Khaamosh hai Akelaa hai Na jaane kab koi paslee phaDak uThe us kee Yaheen kaheen use DhoonDo yaheen kaheen hogaa Barhana ho to use phir libaas pahnaa do Andheree aankhon men suraj kee aag dahkaa do Bahut baDee hai ye bastee kaheen bhee dafnaa do Abhee maraa nahin Zinda hai aadmee shaayad Abhi mara nahin zinda hai aadmi shayad Yahin kahin use DhunDo yahin kahin hoga Badan ki andhi gupha mein chhupa hua hoga BaDha ke hath Har ek raushni ko gul kar do Hawaen tez hain jhanDe lapeT kar rakh do Jo ho sake to un aankhon pe paTTiyan kas do Na koi panw ki aahaT Na sanson ki aawaz Dara hua hai wo Kuchh aur bhi na Dar jae Badan ki andhi gupha se na kuch kar jae Yahin kahin use DhunDo Wo aaj sadiyon baad Udas udas hai KHamosh hai Akela hai Na jaane kab koi pasli phaDak uThe us ki Yahin kahin use DhunDo yahin kahin hoga Barhana ho to use phir libas pahna do Andheri aankhon mein suraj ki aag dahka do Bahut baDi hai ye basti kahin bhi dafna do Abhi mara nahin Zinda hai aadmi shayad