apna gam le ke kahiin aur na jaayaa jaae

Nida Fazli

Apna gham le ke kaheen aur na jaayaa jaa.e Ghar men bikhree huee cheezon ko sajaayaa jaa.e Jin charaaghon ko havaaon kaa koi khauf nahin Un charaaghon ko havaaon se bachaayaa jaa.e Khud-kushee karne kee himmat nahin hotee sab men Aur Kuch din abhee auron ko sataayaa jaa.e Baagh men jaane ke aadaab huaa karte hain Kisee titlee ko na phoolon se uDaayaa jaa.e Kya huaa shahr ko Kuch bhee to dikhaa.ee de kaheen Yuun kiyaa jaa.e kabhi khud ko rulaayaa jaa.e Ghar se masjid hai bahut duur chalo yuun kar len Kisee rote hue bachche ko hansaayaa jaa.e