bujh gae niil gagan
— Nida Fazli
Ab kaheen koi nahin
Jal ga.e saare farishton ke badan
Bujh ga.e neel-gagan
TooTtaa chaand bikhartaa suraj
Koee nekee na badee
Ab kaheen koi nahin
Aag ke sho.ale baDhe
Aasmaanon kaa khuda
Dar ke zameen par utraa
Chaar chhe gaam chalaa Toot gaya
Aadmee apnee hee deevaaron se patthar le kar
Phir guphaaon kee taraf lauT gaya
Ab kaheen koi nahin
Ab kahin koi nahin
Jal gae sare farishton ke badan
Bujh gae nil-gagan
TuTta chand bikharta suraj
Koi neki na badi
Ab kahin koi nahin
Aag ke shoale baDhe
Aasmanon ka KHuda
Dar ke zamin par utra
Chaar chhe gam chala TuT gaya
Aadmi apni hi diwaron se patthar le kar
Phir guphaon ki taraf lauT gaya
Ab kahin koi nahin