chaand se phuul se yaa meri zabaan se suniye

Nida Fazli

Chaand se phuul se yaa meree zabaan se suniye Har jagah aap kaa qissa hai jahaan se suniye Kya zarooree hai ki har parda uThaayaa jaa.e Mere haalaat bhee apne hee makaan se suniye Sab ko aataa naheen Dunya ko sajaa kar jiinaa Zindagee kya hai mohabbat kee zabaan se suniye Kaun paDh saktaa hai paanee pe likhee tahreeren Kis ne kya likkhaa hai ye aab-e-ravaan se suniye Chaand men kaise huee qaid kisee ghar kee khushee Ye kahaanee kisee masjid kee azaan se suniye