chauthaa aadmii
— Nida Fazli
BaiThe baiThe yoonhee qalam le kar
Main ne kaaghaz ke ek kone par
Apnee maan
Apne baap ke do naam
Ek gheraa banaa ke kaaT diye
Aur
Is gol daa.ere ke qareeb
Apnaa chhoTaa saa naam Taank diyaa
Mere uThte hi, mere bachche ne
Puure kaaghaz ko le kar phaaD diyaa!
BaiThe baiThe yunhi qalam le kar
Main ne kaghaz ke ek kone par
Apni man
Apne bap ke do nam
Ek ghera bana ke kaT diye
Aur
Is gol daere ke qarib
Apna chhoTa sa nam Tank diya
Mere uThte hi, mere bachche ne
Pure kaghaz ko le kar phaD diya!