chhotii sii shopping
— Nida Fazli
GoTe vaalee
Laal oDhnee
Us par
Cholee-ghagraa
Usee se matching karne vaalaa
ChhoTaa saa ik naagraa
ChhoTee sii!
Ye shopping thee
Yaa!
Koee jaadoo-Tonaa
Lambaa chauDaa shahr achaanak
Ban kar
Ek khilaunaa
Itihaason kaa jaal tod ke
DaaDhee
PagDee
UunT chhoD ke
''alif'' se
Ammaan
''be'' se
Baabaa
BaiThaa baaj raha tha
Paanch saal kee bachchee
Ban kar jaipur
Naach raha tha
GoTe wali
Lal oDhni
Us par
Choli-ghagra
Usi se matching karne wala
ChhoTa sa ek nagra
ChhoTi si!
Ye shopping thi
Ya!
Koi jadu-Tona
Lamba chauDa shahr achanak
Ban kar
Ek khilauna
Itihason ka jal tod ke
DaDhi
PagDi
UnT chhoD ke
Alif se
Amman
Be se
Baba
BaiTha baj raha tha
Panch sal ki bachchi
Ban kar jaipur
Nach raha tha