Dariya ho yaa pahaad ho takraanaa chaahiye
— Nida Fazli
Dariya ho yaa pahaaD ho Takraanaa chaahiye
Jab tak na saans TuuTe jiye jaanaa chaahiye
Yuun to qadam qadam pe hai deevaar saamne
Koi na ho to khud se ulajh jaanaa chaahiye
Jhuktee huee nazar ho ki simTaa huaa badan
Har ras-bharee ghaTaa ko baras jaanaa chaahiye
Chauraahe baagh buildingen sab shahr to nahin
Kuch aise vaise logon se yaaraanaa chaahiye
Apnee talaash apnee nazar apna tajraba
Rasta ho chaahe saaf bhaTak jaanaa chaahiye
Chup chup makaan raaste gum-sum niDhaal vaqt
Is shahr ke liye koi deevaanaa chaahiye
Bijlee kaa qumquma na ho kaalaa dhuaan to ho
Ye bhee agar nahin ho to bujh jaanaa chaahiye