ek kahaanii
— Nida Fazli
Tum ne
Shaayad kisee risaale men
Koee afsaana paDh liyaa hogaa
Kho ga.ee hogee ruup kee raanee
Ishq ne zahr khaa liyaa hogaa
Tum akelee khaDee huee hogee
Sar se aanchal Dhalak raha hogaa
Yaa paDosan ke phuul se rukh par
Koee dhabbaa chamak raha hogaa
Kaam men honge saare ghar vaale
Radio gungunaa raha hogaa
Tum pe nashsha saa chhaa gaya hogaa
Mujh ko vishvaash hai ki ab tum bhee
Shaam ko khiDkee khol dene par
Apnee laDkee ko Toktee hogee
Giit gaane se roktee hogee
Tum ne
Shayad kisi risale mein
Koi afsana paDh liya hoga
Kho gai hogi rup ki rani
Ishq ne zahr kha liya hoga
Tum akeli khaDi hui hogi
Sar se aanchal Dhalak raha hoga
Ya paDosan ke phul se ruKH par
Koi dhabba chamak raha hoga
Kaam mein honge sare ghar wale
Radio gunguna raha hoga
Tum pe nashsha sa chha gaya hoga
Mujh ko wishwash hai ki ab tum bhi
Sham ko khiDki khol dene par
Apni laDki ko Tokti hogi
Git gane se rokti hogi