faasla
— Nida Fazli
Ye faasla
Jo tumhaare aur mere darmiyaan hai
Har ik zamaane kee daastaan hai
Na ibtidaa hai
Na intihaa hai
Masaafaton kaa azaab saanson kaa daa.era hai
Na tum kaheen ho
Na main kaheen hoon
Talaash rangeen vaahima hai
Safar men lamhon kaa kaarvaan hai
Ye faasla!
Jo tumhaare aur mere darmiyaan hai
Yahee talab hai yahee jazaa hai
Yahee khuda hai
Ye fasla
Jo tumhaare aur mere darmiyan hai
Har ek zamane ki dastan hai
Na ibtida hai
Na intiha hai
Masafaton ka azab sanson ka daera hai
Na tum kahin ho
Na main kahin hun
Talash rangin wahima hai
Safar mein lamhon ka karwan hai
Ye fasla!
Jo tumhaare aur mere darmiyan hai
Yahi talab hai yahi jaza hai
Yahi KHuda hai