har ek baat ko chup chaap kyuun sunaa jaae

Nida Fazli

Har ek baat ko chup-chaap kyuun sunaa jaa.e Kabhi to hausla kar ke nahin kahaa jaa.e Tumhaaraa ghar bhee isee shahr ke hisaar men hai Lagee hai aag kahaan kyuun pata kiyaa jaa.e Judaa hai hiir se raanjhaa ka.ee zamaanon se Na.e sire se kahaanee ko phir likhaa jaa.e Kahaa gaya hai sitaaron ko chhoonaa mushkil hai Ye kitnaa sach hai kabhi tajraba kiyaa jaa.e Kitaaben yuun to bahut see hain mere baare men Kabhi akele men khud ko bhee paDh liyaa jaa.e