har ek ghar men diyaa bhi jale anaaj bhi ho
— Nida Fazli
Har ek ghar men diyaa bhee jale anaaj bhee ho
Agar na ho kaheen aisa to ehtijaaj bhee ho
Rahegee va.adon men kab tak asiir khush-haalee
Har ek baar hee kal kyuun kabhee to aaj bhee ho
Na karte shor-sharaaba to aur kya karte
Tumhaare shahr men Kuch aur kaam-kaaj bhee ho
Hukoomaton ko badalnaa to Kuch muhaal naheen
Hukoomaten jo badaltaa hai wo samaaj bhee ho
Badal rahe hain ka.ee aadmee darindon men
Maraz puraanaa hai is kaa nayaa ilaaj bhee ho
Akele gham se na.ee shaa.iree naheen hotee
Zabaan-e-'meer' men 'ghaalib' kaa imtizaaj bhee ho