har taraf har jagah be shumaar aadmii
— Nida Fazli
Har taraf har jagah be-shumaar aadmee
Phir bhee tanhaa.iyon kaa shikaar aadmee
Sub.h se shaam tak bojh Dhotaa huaa
Apnee hee laash kaa khud mazaar aadmee
Har taraf bhaagte dauDte raaste
Har taraf aadmee kaa shikaar aadmee
Roz jiitaa huaa roz martaa huaa
Har na.e din nayaa intizaar aadmee
Ghar kee dahleez se gehoon ke khet tak
Chaltaa phirtaa koi kaarobaar aadmee
Zindagee kaa muqaddar safar-dar-safar
Aakhiree saans tak be-qaraar aadmee