insaan hain haivaan yahaan bhi hai vahaan bhi

Nida Fazli

Insaan men haivaan yahaan bhee hai vahaan bhee Allaah nigahbaan yahaan bhee hai vahaan bhee Khoon-khvaar darindon ke faqat naam alag hain Har shahr bayaabaan yahaan bhee hai vahaan bhee Hindoo bhee sukoon se hai musalmaan bhee sukoon se Insaan pareshaan yahaan bhee hai vahaan bhee Rahmaan kee rahmat ho ki bhagvaan kee moorat Har khel kaa maidaan yahaan bhee hai vahaan bhee UThtaa hai dil-o-jaan se dhuaan donon taraf hee Ye 'meer' kaa deevaan yahaan bhee hai vahaan bhee