ittifaaq
— Nida Fazli
Ham sab
Ek ittifaaq ke
Mukhtalif naam hain
Maz.hab
Mulk
Zabaan
Isee ittifaaq kee an-ginat kaDiyaan hain
Agar paidaa.ish se pahle
Intikhaab kee ijaazat hotee
To koi laDkaa
Apne baap ke ghar men paidaa honaa pasand nahin kartaa
Hum sab
Ek ittifaq ke
MuKHtalif nam hain
Mazhab
Mulk
Zaban
Isi ittifaq ki an-ginat kaDiyan hain
Agar paidaish se pahle
IntiKHab ki ijazat hoti
To koi laDka
Apne bap ke ghar mein paida hona pasand nahin karta