jo ho ik baar wo har baar ho aisa nahin hota
— Nida Fazli
Jo ho ik baar wo har baar ho aisa nahin hota
Hamesha ek hee se pyaar ho aisa nahin hota
Har ik kashtee kaa apna tajraba hota hai Dariya men
Safar men roz hee manjdhaar ho aisa nahin hota
Kahaanee men to kirdaaron ko jo chaahe banaa diije
Haqeeqat bhee kahaanee-kaar ho aisa nahin hota
Kaheen to koi hogaa jis ko apnee bhee zaroorat ho
Har ik baazee men dil kee haar ho aisa nahin hota
Sikhaa detee hain chalnaa Thokaren bhee raahgeeron ko
Koi rasta sadaa dushvaar ho aisa nahin hota