kabhi kabhi yuun bhi ham ne apne ji ko bahlaayaa hai
— Nida Fazli
Kabhee kabhee yuun bhee ham ne apne jee ko bahlaayaa hai
Jin baaton ko khud naheen samjhe auron ko samjhaayaa hai
Ham se poochho izzat vaalon kee izzat kaa haal kabhee
Ham ne bhee ik shahr men rah kar thoDaa naam kamaayaa hai
Us ko bhoole barson guzre lekin aaj na jaane kyuun
Aangan men hanste bachchon ko be-kaaran dhamkaayaa hai
Us bastee se chhuT kar yuun to har chehre ko yaad kiyaa
Jis se thoDee see an-ban thee wo aksar yaad aayaa hai
Koee milaa to haath milaayaa kaheen ga.e to baaten kiin
Ghar se baahar jab bhee nikle din bhar bojh uThaayaa hai