kabhi kisi ko mukammal jahaan nahin miltaa
— Nida Fazli
Kabhee kisee ko mukammal jahaan naheen miltaa
Kaheen zameen kaheen aasmaan naheen miltaa
Tamaam shahr men aisa naheen khuloos na ho
Jahaan umiid ho is kee vahaan naheen miltaa
Kahaan charaagh jalaa.en kahaan gulaab rakhen
Chhaten to miltee hain lekin makaan naheen miltaa
Ye kya azaab hai sab apne aap men gum hain
Zabaan milee hai magar ham-zabaan naheen miltaa
Charaagh jalte hee beenaa.ee bujhne lagtee hai
Khud apne ghar men hee ghar kaa nishaan naheen miltaa