koi hinduu koi muslim koi iisaaii hai
— Nida Fazli
Koee hindoo koee muslim koee eesaa.ee hai
Sab ne insaan na banne kee qasam khaa.ee hai
Itnee khoon-khaar na thiin pahle ibaadat-gaahen
Ye aqeede hain ki insaan kee tanhaa.ee hai
Tiin chauthaa.ee se zaa.id hain jo aabaadee men
Un ke hee vaaste har bhuuk hai mahngaa.ee hai
Dekhe kab talak baaqee rahe saj-dhaj us kee
Aaj jis chehra se tasveer utarvaa.ee hai
Ab nazar aataa naheen Kuch bhee dukaanon ke sivaa
Ab na baadal hain na chiDiyaan hain na purvaa.ee hai