koshish ke baavajuud ye ilzaam rah gaya
— Nida Fazli
Koshish ke baavajood ye ilzaam rah gaya
Har kaam men hamesha koi kaam rah gaya
ChhoTee thee umr aur fasaana taveel thaa
Aaghaaz hee likhaa gaya anjaam rah gaya
UTh uTh ke masjidon se namaazee chale ga.e
Dahshat-garon ke haath men islaam rah gaya
Us kaa qusoor ye thaa bahut sochtaa thaa wo
Wo kaamyaab ho ke bhee naakaam rah gaya
Ab kya bataa.en kaun thaa kya thaa wo ek shakhs
Gintee ke chaar harfon kaa jo naam rah gaya