Kuch bhi bachaa na kahne ko har baat ho gaii
— Nida Fazli
Kuch bhee bachaa na kahne ko har baat ho ga.ee
Aao kaheen sharaab piyen raat ho ga.ee
Phir yuun huaa ki vaqt kaa paansa palaT gaya
Ummeed jiit kee thee magar maat ho ga.ee
Sooraj ko chonch men liye murghaa khaDaa raha
KhiDkee ke parde kheench diye raat ho ga.ee
Wo aadmee thaa kitnaa bhalaa kitnaa pur-khuloos
Us se bhee aaj liije mulaaqaat ho ga.ee
Raste men wo milaa thaa main bach kar guzar gaya
Us kee phaTee qamees mire saath ho ga.ee
Naqsha uThaa ke koi nayaa shahr DhoonDhiye
Is shahr men to sab se mulaaqaat ho ga.ee