mohabbat men vafaadaarii se bachiye

Nida Fazli

Mohabbat men vafaadaaree se bachiye Jahaan tak ho adaakaaree se bachiye Har ik soorat bhalee lagtee hai Kuch din Lahoo kee sho.abada-kaaree se bachiye Sharaafat aadmiyyat dard-mandee BaDe shahron men beemaaree se bachiye Zarooree kya har ik mahfil men baiThen Takalluf kee ravaa-daaree se bachiye Binaa pairon ke sar chalte naheen hain Buzurgon kee samajhdaaree se bachiye