na jaane kaun saa manzar nazar men rahtaa hai

Nida Fazli

Na jaane kaun saa manzar nazar men rahtaa hai Tamaam umr musaafir safar men rahtaa hai LaDaa.ee dekhe hue dushmanon se mumkin hai Magar wo khauf jo deevaar-o-dar men rahtaa hai Khuda to maalik-o-mukhtaar hai kaheen bhee rahe Kabhi bashar men kabhi jaanvar men rahtaa hai Ajiib daur hai ye tai-shuda nahin Kuch bhee Na chaand shab men na sooraj sahar men rahtaa hai Jo milnaa chaaho to mujh se milo kaheen baahar Wo koi aur hai jo mere ghar men rahtaa hai Badalnaa chaaho to Dunya badal bhee saktee hai Ajab futoor saa har vaqt sar men rahtaa hai