nazdiikiyon men duur kaa manzar talaash kar
— Nida Fazli
Nazdeekiyon men duur kaa manzar talaash kar
Jo haath men nahin hai wo patthar talaash kar
Sooraj ke ird-gird bhaTakne se faa.eda
Dariya huaa hai gum to samundar talaash kar
Taareekh men mahal bhee hai haakim bhee takht bhee
Gumnaam jo hue hain wo lashkar talaash kar
Rahtaa nahin hai Kuch bhee yahaan ek saa sadaa
Darvaaza ghar kaa khol ke phir ghar talaash kar
Koshish bhee kar umiid bhee rakh raasta bhee chun
Phir is ke baa'd thoDaa muqaddar talaash kar