paidaaish

Nida Fazli

Band kamraa ChhaTpaTaataa saa andheraa Aur Deevaaron se Takraataa huaa Main!! Muntazir hoon muddaton se apnee paidaa.ish ke din kaa Apnee maan ke peT se Niklaa hoon jab se Main!! Khud apne peT ke andar paDaa hoon Band kamra ChhaTpaTata sa andhera Aur Diwaron se Takraata hua Main!! Muntazir hun muddaton se apni paidaish ke din ka Apni man ke peT se Nikla hun jab se Main!! KHud apne peT ke andar paDa hun