saliiqa
— Nida Fazli
Devtaa hai koi ham men
Na farishta koi
Chhoo ke mat dekhnaa
Har rang utar jaataa hai
Milne-julne kaa saleeqa hai zarooree varna
Aadmee chand mulaaqaaton men mar jaataa hai
Dewta hai koi hum mein
Na farishta koi
Chhu ke mat dekhna
Har rang utar jata hai
Milne-julne ka saliqa hai zaruri warna
Aadmi chand mulaqaton mein mar jata hai