waqt se pahle
— Nida Fazli
Yuun to har rishte kaa anjaam yahee hota hai
Phuul khiltaa hai
Mahaktaa hai
Bikhar jaataa hai
Tum se vaise to nahin koi shikaayat
Lekin
Shaakh ho sabz
To hassaas fazaa hotee hai
Har kalee zakhm kee soorat hee judaa hotee hai
Tum ne
Be-kaar hee mausam ko sataayaa varna
Phuul jab khil ke mahak jaataa hai
Khud-ba-khud
Shaakh se gir jaataa hai
Yun to har rishte ka anjam yahi hota hai
Phul khilta hai
Mahakta hai
Bikhar jata hai
Tum se waise to nahin koi shikayat
Lekin
ShaKH ho sabz
To hassas faza hoti hai
Har kali zaKHm ki surat hi juda hoti hai
Tum ne
Be-kar hi mausam ko sataya warna
Phul jab khil ke mahak jata hai
KHud-ba-KHud
ShaKH se gir jata hai