wo khush libaas bhi khush dil bhi khush adaa bhi hai
— Nida Fazli
Wo khush-libaas bhee khush-dil bhee khush-adaa bhee hai
Magar wo ek hai kyuun us se ye gila bhee hai
Hamesha mandir-o-masjid men wo naheen rahtaa
Sunaa hai bachchon men chhup kar wo kheltaa bhee hai
Na jaane ek men us jaise aur kitne hain
Wo jitnaa paas hai utnaa hee wo judaa bhee hai
Vahee amiir jo rozee-rasaan hai aalam kaa
Faqeer ban ke kabhee bhiik maangtaa bhee hai
Akelaa hota to Kuch aur faisla hota
Miree shikast men shaamil miree duaa bhee hai